hansne rone se gae rabt badhane se gae aisi uftad padi sare zamane se gae wo taffun hai ki is bar zamin ke basi apne sajdon se gae rizq kamane se gae dil to pahle hi juda the yahan basti walo kya qayamat hai ki ab hath milane se gae is qadar qaht-e-wafa hai mere atraf ki ab yar yaron ko bhi ahwal sunane se gae apna ye haal ki hain jaan bachane mein magan aur ajdad jo hain jaan ladane mein gae tujh ko kya ilm ki hum teri mohabbat ke tufail sari duniya se kate sare zamane se gae