hanuz ishq mein shoala sa jal bujha kya hai

By talat-zahraJuly 14, 2021
hanuz ishq mein shoala sa jal bujha kya hai
na-jaane aaj bhi wahshat mein sar-phira kya hai
faqir aae the mahfil mein teri sunne ko
wo baat tujh mein sunane ka hausla kya hai


wafa hai mujh se khafa aur tu khafa mujh se
zara ye dekh jafa ne teri kiya kya hai
ye mera sabr bhi jo kaam mere aa na saka
to ai khuda ye mera tujh pe aasra kya hai


sada-e-shauq ko mahmez kar rahi hai hawa
bisat apni wagarna yahan siwa kya hai
ye khak-e-des hai ya hai ye khak-e-karb-o-bala
lahu se karte hain sairab majra kya hai


samajhna chaho to 'zahra' se zist ko samjho
nafi sabaat man-o-tu moamla kya hai
48485 viewsghazalEnglish