haq-bayani ki jo himmat hogi
By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
haq-bayani ki jo himmat hogi
tere jine ki wo taqat hogi
jab khadi sar pe musibat hogi
kaise pagdi ki hifazat hogi
mujh ko lagta tha sabhi apne hain
kab ye socha tha baghawat hogi
kuchh to apne pe bharosa rakkho
ja-ba-ja kis ki 'inayat hogi
mujh se behtar to nahin hai lekin
har jagah us ki hi 'izzat hogi
sach ki aankhon mein to aansu honge
jhut kah kar hi jo barkat hogi
wo to dekhenge karishma pahle
phir 'nazar' un se 'ibaadat hogi
tere jine ki wo taqat hogi
jab khadi sar pe musibat hogi
kaise pagdi ki hifazat hogi
mujh ko lagta tha sabhi apne hain
kab ye socha tha baghawat hogi
kuchh to apne pe bharosa rakkho
ja-ba-ja kis ki 'inayat hogi
mujh se behtar to nahin hai lekin
har jagah us ki hi 'izzat hogi
sach ki aankhon mein to aansu honge
jhut kah kar hi jo barkat hogi
wo to dekhenge karishma pahle
phir 'nazar' un se 'ibaadat hogi
84951 viewsghazal • English