haq mein tere ai zist dua kar chuke hain hum
By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
haq mein tere ai zist du'a kar chuke hain hum
tera har ek qarz ada kar chuke hain hum
jine ko ji rahe hain magar is tarah se ab
apne badan se jaan ko riha kar chuke hain hum
laya usi ke pas hi phir se hamein ye waqt
jis se hazaron bar gila kar chuke hain hum
mushkil hai apne aap pe karna yaqin ab
khud se bhi kitni bar dagha kar chuke hain hum
behtar hai us ke zikr pe khamosh hi rahen
kis ne kiya tha qatl pata kar chuke hain hum
hum ne kiya qubul 'adalat mein shauq se
de do saza-e-maut khata kar chuke hain hum
aate hain jitne kaam 'nazar' dost aaj-kal
itna to dushmanon ka bhala kar chuke hain hum

23439 viewsghazal • English