haq-nawai ko zamane ki zaban kaun kare aisi talkhi ko 'samad' lazzat-e-jaan kaun kare ab sar-e-dar wafaon ke liye kaun aae chand khwabon ke liye tark-e-jahan kaun kare hum ne mana ki badi chiz hai pabandi-waqt sajda-e-shauq ko paband-e-azan kaun kare waqt ki chap se gunji hai meri tanhai waqt ki chap ko ab aur garan kaun kare kaun unchi kare bujhte hue anfas ki lau is andhere mein talash-e-rag-e-jaan kaun kare shoala-e-fikr pe suraj ka guman hota hai shoala-e-fikr ko mohtaj-e-bayan kaun kare hum wo patthar hain ki saiqal ho to aaina banen sang par mashk-e-fan-e-shisha-garan kaun kare kaun dikhlae haqiqat ko 'samad' rah-e-majaz hasil-e-dida-o-dil nazr-e-butan kaun kare