haqiqat hai ise manen na manen ghatti badhti hain wo jhuti hon ki sachchi dastanen ghatti badhti hain kisi pahlu se koi tir aa kar chat jaega hazaron zawiye hain aur kamanen ghatti badhti hain falak-giri ki khwahish baal-o-par ko rakh kar degi hawas-rano parindon ki udanen ghatti badhti hain shikam-seri ne dastar-khwan bichhwae hain logon se mazaq-e-zaiqa samho zabanen ghatti badhti hain bulandi aur pasti ka koi mear tai kar lo zamin tang ho rahi hai aur chatanen ghatti badhti hain main in chandi ke bazaron pe apne dant kya gadun chamakti phiki padti sab dokanen ghatti badhti hain 'sharar' main aisi mitti par asas-e-fan nahin rakhta rasanon ka bharosa kya rasanen ghatti badhti hain