haqiqaten hain ye koi tasawwuraat nahin
By manzar-suhaiSeptember 24, 2023
haqiqaten hain ye koi tasawwuraat nahin
jo tum abhi bhi na samjho to koi baat nahin
kuchh aise bhi hain jinhen maut hi nahin aati
aur ek hum hain jo barson se ba-hayat nahin
har ek shakhs ko haq hai yahan pe chalne ka
kisi ke bap ka ye farsh-e-kaenat nahin
sanbhal sanbhal ke chalo ai jawanon is rah par
ye rah-e-ishq hai is mein kabhi najat nahin
sipurd kar dun kisi ko bhi is ko kaise main
aman ye dil hai hamara koi zakat nahin
suna hai logon se us bewafa ki beti mein
khuda ka shukr hai man ki koi sifat nahin
wafa ke badle wafa karti kyon nahin duniya
khudaya kyon ye bhala juzw-e-wajibaat nahin
tu sochti hai mujhe ab bhi teri khwahish hai
nahin nahin mujhe ab koi khwahishat nahin
'suhail' jaanwaron ka hadaf faqat hai ghiza
suna hai un ke yahan koi zat-pat nahin

49348 viewsghazal • English