har aadmi khulus-o-wafa ki misal hai ab kaun bewafa hai samajhna muhaal hai khush-fahm panchhiyon ko kahan ye khayal hai is khushnuma uruj ka aakhir zawal hai maghrur aaftab ka anjam soch kar gham se hasin chand ka chehra nidhaal hai phulon ka dard bantne wala koi nahin kanton ke ehtijaj ka sab ko malal hai wo koyalon ki kuk se kya hoga mutmain jis dil ko justuju-e-nawa-e-bilal hai