har aadmi ne rup hai dhaara faqir ka
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
har aadmi ne rup hai dhaara faqir ka
gardish mein aa gaya ye sitara faqir ka
duniya pe dil hamara kabhi aata hi nahin
hai dosto mizaj hamara faqir ka
utran pahan ke shah ki khush hain musahibin
khush hai wo khud pahan ke utara faqir ka
darwaze par khamosh khada hun main der se
kuchh to karo khayal khudara faqir ka
darbar mein bulaya tha us ko amir ne
us ko mila jawab karara faqir ka
bas ek jhalak hi pa ke teri khush bahut hai dil
thode mein ho raha hai guzara faqir ka
duniya padi hui hai 'kamal' us mein dekhiye
kone mein jo pada hai pitara faqir ka

76431 viewsghazal • English