har aah gham-e-dil ki ghammaz nahin hoti

By asad-razaJanuary 12, 2021
har aah gham-e-dil ki ghammaz nahin hoti
aur wah masarrat ka aaghaz nahin hoti
jo rok nahin pati ashkon ki rawani ko
wo aankh gham-e-dil ki hamraaz nahin hoti


har ashk-e-shahanshahi ek taj nahin banta
har malka zamane mein 'mumtaz' nahin hoti
milti hai khamoshi se zalim ko saza yaro
allah ki lathi mein aawaz nahin hoti


ek thos haqiqat hai alfaz ke paikar mein
ye shairi shair ka eajaz nahin hoti
yun umr ki qainchi ne par mere katar dale
ab lakh karun koshish parwaz nahin hoti


daulat ki badaulat jo bandhti hai 'asad' sar par
dastar-e-fazilat wo eazaz nahin hoti
62713 viewsghazalEnglish