har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paenge hum

By nazeer-akbarabadiNovember 11, 2020
har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paenge hum
to haar ke ek din is ki bhi tadbir koi thahraenge hum
bezar karenge khatir ko pahle to tumhaari chahat se
phir dil ko bhi kuchh minnat se kuchh haibat se samjhaenge hum


gar kahna dil ne man liya aur ruk baitha to bahattar hai
aur chain na lene dewega to bhes badal kar aaenge hum
awwal to nahin pahchanoge aur loge bhi pahchan to phir
har taur se chhup kar dekhenge aur dil ko khush kar jaenge hum


gar chhupna bhi khul jawega to mil kar afsun-sazon se
kuchh aur hi latka sehr-bhara us waqt baham pahunchaenge hum
jab wo bhi pesh na jawega aur shohrat howegi phir to
jis surat se ban aawega taswir khincha mangwaenge hum


mauquf karoge chhupne ko to behtar warna 'nazir' aasa
jo harf zaban par laenge phir wo hi kar dikhlaenge hum
33806 viewsghazalEnglish