har-chand bhare dil mein hain lakhon hi gile par kya kahiye ki khulta nahin munh waqt mile par be-dard wo aisa hai ki marham ki jagah hae chhidke hai namak mere har ek zakhm chhile par ta dil ko na washud ho to kya lutf mile hae khilti hai jo bu ghuncha-e-gul ki to khile par mashhur jawani mein ho wo kyun na jagat-baz mailan-e-tabiat tha ladakpan se zile par hum gulshan-e-hairat mein hain parwaz kahan ki jun bulbul-e-taswir kabhi tuk na hile par sun wasf-e-dahan dijiye kuchh munh se piyare mujh shaer-e-muflis ki hai guzran sile par kis munh se bayan kijiye wo lutf ki 'jurat' dushnam jo wan milti hain tuk aankh mile par