har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi lena hi pada dil ko zarurat bhi bahut thi zalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi majbur the hum us se mohabbat bhi bahut thi go tark-e-talluq mein suhulat bhi bahut thi lekin na hua hum se ki ghairat bhi bahut thi us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne go apni tabiat mein baghawat bhi bahut thi waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se wo warna dil ke liye thodi si inayat hi bahut thi yun hi nahin mashhur-e-zamana mera qatil us shakhs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thi kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil mein bahut tha aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi har sham sunate the hasinon ko ghazal hum jab mal bahut tha to sakhawat bhi bahut thi bulwa ke hum 'ajiz' ko pasheman bhi bahut hain kya kijiye kam-bakht ki shohrat bhi bahut thi