har-chand sahaara hai tere pyar ka dil ko rahta hai magar ek ajab khauf sa dil ko wo khwab ki dekha na kabhi le uda ninden wo dard ki uttha na kabhi kha gaya dil ko ya sans ka lena bhi guzar jaana hai ji se ya marka-e-ishq bhi ek khel tha dil ko wo aaen to hairan wo jaen to pareshan ya-rab koi samjhae ye kya ho gaya dil ko sone na diya shorish-e-hasti ne ghadi bhar main lakh tera zikr sunata raha dil ko rudad-e-mohabbat na rahi is ke siwa yaad ek ajnabi aaya tha uda le gaya dil ko juz gard-e-khamoshi nahin 'shohrat' yahan kuchh bhi kis manzil-e-abaad mein pahuncha liya dil ko