har chehre par KHauf ki chadar shoalon ki barish ghar ghar

By mumtaz-rashidSeptember 26, 2023
har chehre par khauf ki chadar shoalon ki barish ghar ghar
suni aankhen dekh rahi hain jalte shahr ka ye manzar
patta bhi khadke to dil sinon mein khauf se phat jaen
kitni chikhon ka madfan hai sahma hua khamosh nagar


chehre ki tahrir ke pichhe kya dukh hai ye bhi samjho
main koi akhbar nahin hun tum rakh do jis ko padh kar
hum hi kuchh nadan the jaane kitne khwab saja baithe
aas ne yun hi dekh liya tha chalte chalte ek nazar


jab bhi guzarta hai koi aawara hawaon ka jhonka
tapti tin ki unchi chhat par bajne lagte hain kankar
pichhe rah jaane walon par kis munh se ilzam dharen
hum jis ki agli saf mein the haar gaya hai wo lashkar


koi patthar phenk ke is mein apna aks mita dalen
jalti ret mein kho jaegi ye naddi aage chal kar
'rashid' kis ummid pe dil ka aaina chamkate ho
jaane kya taswir dikhae dhundla dhundla san sattar


86074 viewsghazalEnglish