har dil mein tera sauda har aankh tamannai

har dil mein tera sauda har aankh tamannai
ai zinat-e-har-mahfil hangama-e-tanhai

kabe mein jise dhundha but-khane mein dhundha tha
mai-khane aa kar wo taswir nazar aai

shokhi hai haya parwar duzdida nigahen hain
samjhe na koi us ko andaz-e-shanasai

ghunchon mein tabassum tha kaliyan bhi chatak utthin
jab aae wo gulshan mein lete hue angdai

maghrur na ho kyun kar wo sar har ek khud sar se
hasil hai tere dar ki jab us ko jabin-sai

dhoka teri aamad ka dhadkan pe har ek dil ki
kya tum ko sunaon mein haal-e-shab-e-tanhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close