har ek pahlu-e-KHush-manzari bikharta raha
By salim-saleemFebruary 28, 2024
har ek pahlu-e-khush-manzari bikharta raha
wo aaine mein bahut der tak sanwarta raha
main ratjage ke liye us ke pas aaya tha
to phir wo kyon meri aankhon mein khwab bharta raha
agar nahin hai ye mera shu'ur dushman-e-jaan
to mujh mein kaun tha jo mujh se jang karta raha
meri nigah mein nilahaten hain phaili hui
ye kaisa zahr meri ruh mein utarta raha
tamam log hain is tez dhup ke shaki
main apne jism ki parchhaiyon se darta raha

92718 viewsghazal • English