har ek rang mein yun dub kar nikharte rahe khutut naqsh-e-musawwir mein rang bharte rahe khuda bachae bagulon ki zad mein aae hain wo barg-e-sabz jo mauj-e-hawa se darte rahe unhin ke panw se lipti hui hai mauj-e-hayat jo be kanar samundar ke par utarte rahe kahan thi jurat-e-nazzara-e-jamal-e-sahar agarche gesu-e-shab raat-bhar sanwarte rahe wahin bahaar-ba-kaf qafile lapak ke chale jahan jahan tere naqsh-e-qadam ubharte rahe agarche basta-e-dam-e-khayal the lekin kushuda uqda-e-lail-o-nahaar karte rahe unhin ke sath hai apna safar 'tamannai' wo khush-khiram jo har daur se guzarte rahe