har ek samt ishaare the aur rasta bhi malal ye hai ki aaya na hum ko chalna bhi hamari pyas mukammal ho to qadam bhi uthen rakhe hain samne dariya bhi aur sahra bhi bujhe charagh to hairaniyan kuchh aur badhin hamare sath hai ab tak hamara saya bhi ek aisi lahr uthi dubne ka khauf utha ab ek jaise hain manjdhaar bhi kinara bhi safar se laut to aaya magar na tha malum hamare sath chala aaega ye rasta bhi