har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai
By raj-khetiNovember 26, 2020
har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai
mera wajud hi ab gard gard lagta hai
tumhaare qurb mein garmi bahut ghazab ki thi
hawa ka hath magar sard sard lagta hai
na jaane aai kahan se bhikariyon ki ye bhid
gadagar aaj mujhe fard fard lagta hai
usi mein dekhi thi taswir-e-kaenat kabhi
wo aaina ki jo ab gard gard lagta hai
wo ek hum the ki samjha harif ko bhi halif
fareb-kar tumhein fard fard lagta hai
kisi ke honton ki surkhi ko kya hua hai 'raj
ghazal ka chehra bhi kuchh zard zard lagta hai

93802 viewsghazal • English