har ek sawal ka dete hain kyun jawab ghalat padha hai bachchon ne shayad sabhi nisab ghalat hamare ahd-e-wafa ka kahin bhi zikr nahin moarrikhon ne likhe ab ke sare bab ghalat tanaben tut ke bikhrin tamam khemon ki hawa ke rukh ka lagaya gaya hisab ghalat khayal-e-shauq ki be-chehragi pe kya roen dilon mein hum ne basae the sare khwab ghalat ibaadaton ke maraatib buland hon kaise tere amal mein guna ka hai irtikab ghalat hum ehtisab-e-amal se gurez-pa hi rahe na wo ghalat hai na us ka koi itab ghalat dil-o-dimagh ki basti ujad bhi sakti hai padhe jo aankh hamari koi kitab ghalat masafaton ke kade kos sahl kya honge agar safar mein mile koi ham-rikab ghalat