har ek zaKHm-e-shanasai ek kahani hai
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
har ek zakhm-e-shanasai ek kahani hai
mile nahin hain jo log un ki mehrbani hai
ye hausla to tujhe jit kar nasib hua
wagarna haar ke kis ne shikast mani hai
diye ki lau se jo tahrir main ne likkhi thi
hawa ke pas wo ab tak meri nishani hai
samundaron ka safar aaj to maza dega
hawa bhi tez hai kashti bhi baadbani hai
'jamal' khel nahin hai koi ghazal kahna
ki ek baat batani hai ek chhupani hai
mile nahin hain jo log un ki mehrbani hai
ye hausla to tujhe jit kar nasib hua
wagarna haar ke kis ne shikast mani hai
diye ki lau se jo tahrir main ne likkhi thi
hawa ke pas wo ab tak meri nishani hai
samundaron ka safar aaj to maza dega
hawa bhi tez hai kashti bhi baadbani hai
'jamal' khel nahin hai koi ghazal kahna
ki ek baat batani hai ek chhupani hai
25166 viewsghazal • English