har falak-bos imarat hai ana ki taswir

By shehla-naqviJanuary 8, 2021
har falak-bos imarat hai ana ki taswir
aur main tut ke girti hui diwar mein hun
tum ko tanhai ka ehsas hua kyun aakhir
main to muddat se tumhaare dar-o-diwar mein hun


shahar ke shahar pe hai nind ka afsun tari
main hun khush-bakht ki ek dida-e-bedar mein hun
na samundar na ghataon ki rahin-e-minnat
bhigti apne hi jazbaat ki bauchhaar mein hun


zehn aur jism to hain kar-e-ziyan mein masruf
ruh ke sath main ek hasrat-e-didar mein hun
us ki aawara nigahi ka gila kya 'shahla'
main to khud apne hi iqrar mein inkar mein hun


75912 viewsghazalEnglish