har har shajar umid tha har har shajar tha yas
By shamsur-rahman-faruqiJanuary 5, 2024
har har shajar umid tha har har shajar tha yas
har har shajar ki chhaon mein ek shahr ban gaya
phula-phala tha waqt ke hathon to waqt hi
sahra-e-arzu ke liye zahr ban gaya
namnak ru-e-sham pe gul-chandni ka rang
jalte pe tel sa hi koi qahr ban gaya
baadal ka aasman pe banta bigadta rup
yaad-e-mizaj-e-yar ki ek lahr ban gaya
shab ko tera khayal sukut-e-namaz mein
aamin ki hikayat-e-bil-jahr ban gaya

29397 viewsghazal • English