har jagah aapne mumtaz banaya hai mujhe

By aziz-warsiOctober 28, 2020
har jagah aap ne mumtaz banaya hai mujhe
waqai qabil-e-ezaz banaya hai mujhe
jis par mar mitne ki har ek qasam khata hai
wahi shokhi wahi andaz banaya hai mujhe


waqai waqif-e-idrak-e-do-alam tum ho
tum ne hi waqif-e-har-raaz banaya hai mujhe
jis fasane ka abhi tak koi anjam nahin
us fasane ka hi aaghaz banaya hai mujhe


kabhi naghma hun kabhi dhun hun kabhi lai hun 'aziz'
aap ne kitna hasin saz banaya hai mujhe
20953 viewsghazalEnglish