har jagah har waqt goya ek kami tere baghair
By iram-lakhnaviFebruary 26, 2024
har jagah har waqt goya ek kami tere baghair
kya hui jati hai meri zindagi tere baghair
maut ka gham hai na jine ki khushi tere baghair
zindagi hai ehtijaj-e-zindagi tere baghair
aah nikli hont kanpe ashk aankhon mein bhar aae
muskurane ki agar koshish bhi ki tere baghair
ai hama husn-o-nazakat ai mujassam rang-o-bu
dil-girafta hai chaman mein har kali tere baghair
dekhte hi dekhte fitrat mein aaya inqalab
ek numayan tirgi hai raushni tere baghair
ab wahan main hun jahan ye bhi samajh sakta nahin
kis tarah aati hai duniya mein hansi tere baghair
hai amanat-dar-e-khamoshi mere munh mein zaban
hae-re khud-ikhtiyari bebasi tere baghair
'ishq se takmil-e-husn aur husn se takmil-e-‘ishq
ek kami mere baghair aur ek kami tere baghair
sar ho sajde mein to dil mein kaun ho tere siwa
ai ma’az-allah teri bandagi tere baghair
ek tara tut kar tarikiyon mein kho gaya
raat 'iram' ne is tarah ek aah ki tere baghair

73269 viewsghazal • English