har jagah teri wakalat bhi kahan tak karte
By manzoor-ul-haq-nazirOctober 25, 2023
har jagah teri wakalat bhi kahan tak karte
sab se ladne ki jasarat bhi kahan tak karte
ek tajalli ne uda dale sabhi hosh-o-hawas
tur ki aap ziyarat bhi kahan tak karte
nafraten bo ke mohabbat ka samar dhundte hain
is tarah ulti zara’at bhi kahan tak karte
shiddat-e-karb se aankhon mein na thahre aansu
hum tere gham ki hifazat bhi kahan tak karte
apne bigde hue haalat se jo ladte hain
mujh pe wo chashm-e-'inayat bhi kahan tak karte
ab wo mausam na raha 'ishq-o-mohabbat ka sanam
hum tere sath shararat bhi kahan tak karte
is qadar log masail mein ghire hain 'nazir'
hum ko aasuda-e-rahat bhi kahan tak karte

87360 viewsghazal • English