har khar inayat tha har ek sang sila tha is rah mein har zakhm hamein rah-numa tha kyun ghir ke ab aae hain ye baadal ye ghataen hum ne to tujhe der hui yaad kiya tha ai shishagaro kuchh to karo aaina-khana rangon se khafa rukh se juda yun na hua tha in aankhon se kyun subh ka suraj hai gurezan jin aankhon ne raaton mein sitaron ko chuna tha