har kisi ke naqsh mein chehra tumhaara dhundhna chaunkna kuchh dekh kar aur phir dobara dhundhna wo to baadal tha hawa ki pairwi mein be-qadam jis ne hum se tha kaha rasta hamara dhundhna aasman ke dukh utarte hain zamin par sham ko dhup chehron par dhalegi tab sitara dhundhna kya tasalli kya talafi kya dilase hijr mein jab qaza khwahish mein ho to kya sahaara dhundhna laut aaya wo to kyon aisa laga 'ahsan' mujhe jaise mumkin ho mohabbat ka kinara dhundhna