har marhala-e-shauq ka izhaar karenge
By syed-zafar-kashipuriiFebruary 7, 2022
har marhala-e-shauq ka izhaar karenge
dil un ki mohabbat mein giraftar karenge
mana ki guzar jaegi ye zulm ki aandhi
tajdid-e-sitam phir bhi sitam-kar karenge
mahrum-e-tabiat jo zamane mein rahe hain
wo apni ana darpai-e-azar karenge
hum gardish-e-aflak se nazron ko mila kar
jo faisla karna hai sar-e-dar karenge
ta-waqt ki takraen na kanon se sadaen
diwar hum apni pas-e-diwar karenge
nafrat ki har ek shahr mein bhadkaenge aatish
ye kaam faqat mulk ke ghaddar karenge
lafzon mein simat aaega guftar ka jadu
lahje ko 'zafar' aap ke talwar karenge

47258 viewsghazal • English