har munharif nigah ko qail kiya gaya
By shahbaz-talibJanuary 5, 2024
har munharif nigah ko qail kiya gaya
chehra laga ke chehre pe mail kiya gaya
tab ja ke teri did ke sikke 'ata hue
aankhon ko pahle kasa-e-sail kiya gaya
danishwaron ko kaam to dena tha is liye
jitne bhi hal the sab ko masail kiya gaya
hum ko hamare she'r sunae gae hain dost
hum ko hamari tegh se ghail kiya gaya
ek na-murad dil ki ita’at ke nam par
achchhe-bhale dimagh ko zail kiya gaya
chehra laga ke chehre pe mail kiya gaya
tab ja ke teri did ke sikke 'ata hue
aankhon ko pahle kasa-e-sail kiya gaya
danishwaron ko kaam to dena tha is liye
jitne bhi hal the sab ko masail kiya gaya
hum ko hamare she'r sunae gae hain dost
hum ko hamari tegh se ghail kiya gaya
ek na-murad dil ki ita’at ke nam par
achchhe-bhale dimagh ko zail kiya gaya
11269 viewsghazal • English