har nafas murid-e-safar hain hum

By raza-azimabadiNovember 14, 2020
har nafas murid-e-safar hain hum
goya dukkan-e-shishagar hain hum
shama ke gah taj-e-sar hain hum
gah patinge ke baal-o-par hain hum


ishq ne jab se ki hai dil kar ni
barq hain shoala hain sharar hain hum
rang-e-rukhsar khub-ruyan hain
aah-e-ushshaq ke asar hain hum


hum hain nairangi-e-bahaar ke rang
nakhl-o-barg-o-gul-o-samar hain hum
sajda-gah hain tamam aalam ki
kis ki ye khak-e-rahguzar hain hum


ahl-e-dil apne rahte hain mushtaq
goiya wasl ki khabar hain hum
haal khat-e-shikasta mein likkha
yani us se shikasta-tar hain hum


dushmani hum se ho nahin sakti
tujh se sharminda kina-war hain hum
jab se dekhi hai us ke ghar ki rah
aur khana-kharab-tar hain hum


rashk mein shor-o-shar se hain lachaar
kuchh farishte nahin bashar hain hum
us ne ahwal puchha hum mar gae
kis qadar qissa-mukhtasar hain hum


kya karen dil nahin hai pas 'raza'
sabr mein warna be-jigar hain hum
88248 viewsghazalEnglish