har nafas pul-siraat hai bhai
By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
har nafas pul-siraat hai bhai
imtihan-e-hayat hai bhai
hadse muskura ke milte hain
hath mein un ka hath hai bhai
chand tare saje hue hain magar
raat kaisi ho raat hai bhai
gham nahin ham-safar nahin koi
hausla bhi to sath hai bhai
sab jise sha'iri samajhte hain
qalb ki wardat hai bhai
shab mein faqa khuda pe hai takiya
'mast' ki kaenat hai bhai
imtihan-e-hayat hai bhai
hadse muskura ke milte hain
hath mein un ka hath hai bhai
chand tare saje hue hain magar
raat kaisi ho raat hai bhai
gham nahin ham-safar nahin koi
hausla bhi to sath hai bhai
sab jise sha'iri samajhte hain
qalb ki wardat hai bhai
shab mein faqa khuda pe hai takiya
'mast' ki kaenat hai bhai
60782 viewsghazal • English