har nai sham suhani to nahin hoti hai

By ajmal-sirajJanuary 18, 2024
har nai sham suhani to nahin hoti hai
aur har 'umr jawani to nahin hoti hai
tum ne ehsan kiya tha so jataya tum ne
jo mohabbat ho jatani to nahin hoti hai


dosto sach kaho kab dil ko qarar aaega
har ghadi aas bandhani to nahin hoti hai
dil mein jo aag lagi hai wo lagi rahne de
yar har aag bujhani to nahin hoti hai


jab bhi milte hain chatak uthte hain kaliyon ki tarah
dosti ho to purani to nahin hoti hai
barha us ki gali se ye guzar kar socha
har gali chhod ke jaani to nahin hoti hai


mauj hoti hai kahin aur bhanwar hote hain
sirf dariya mein rawani to nahin hoti hai
dur ho kar bhi wo nazdik hai qurbat ya'ni
az-rah-e-qurb makani to nahin hoti hai


shaiba jis mein haqiqat ka nahin ho 'ajmal'
wo kahani bhi kahani to nahin hoti hai
78720 viewsghazalEnglish