har qadam par ek naya dukh KHair-KHwahon se mila

By zafar-akbarabadiMay 21, 2021
har qadam par ek naya dukh khair-khwahon se mila
kab hamein koi tahaffuz un panahon se mila
khud-numai ke siwa kya kaj-kulahon se mila
sirf ek jhuta tafakhur tha jo shahon se mila


log khali hath aae hain jahan se laut kar
dard ka tohfa hamein un bargahon se mila
ek markaz par hue yakja kahan past-o-buland
kab faqiron ka sitara baadshahon se mila


zindagi bhar hum rahe mahw-e-safar lekin 'zafar'
manzilon se kuchh hua hasil na rahon se mila
97413 viewsghazalEnglish