har qadam par nae aazar hua karte hain

By nasir-misbahiJanuary 4, 2024
har qadam par nae aazar hua karte hain
marhale shauq ke dushwar hua karte hain
marsiya padhta hun dil ka to ghazal banti hai
mere alfaz azadar hua karte hain


raqs-e-bismil ke muqaddar mein hai dasht-o-sahra
aur mujre sar-e-bazar hua karte hain
wo alag daur tha jab 'ishq pe kuchh zor na tha
ab ke 'ashiq bade hushiyar hua karte hain


masnad-e-dars-e-sukhan par bhi sukhan-fahm nahin
sirf ghaalib ke taraf-dar hua karte hain
husn-e-zahir ki haqiqat nahin khulti jab tak
log marne ko bhi tayyar hua karte hain


muskuraate hue aankhen bhi chhalak padti hain
dard-e-dil yar pur-asrar hua karte hain
tum ki bazar mein aate ho numaish ke liye
hum numaish ke kharidar hua karte hain


baat is baat mein hai jis se koi baat bane
yun latife bhi mazedar hua karte hain
zindagi safha-e-taqdir ka afsana hai
hum haqiqat mein adakar hua karte hain


aakhiri nan-e-shabina ki talab mein 'nasir'
roz bazar mein hum khwar hua karte hain
45145 viewsghazalEnglish