har rahguzar mein kahkashan chhod jaunga zinda hun zindagi ke nishan chhod jaunga main bhi to aazmaunga us ke khulus ko us ke labon pe apni fughan chhod jaunga meri tarah use bhi koi justuju rahe az-rah-e-ehtiyat guman chhod jaunga mera bhi aur koi nahin hai tere siwa ai sham-e-gham tujhe main kahan chhod jaunga raushan rahunga ban ke main ek shola-e-nawa sahra ke aas-pas azan chhod jaunga phir aa ke bas gae hain barabar ke ghar mein log ab phir 'amir' main ye makan chhod jaunga