har rang-e-be-hijab KHabar hai hijab ki
By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
har rang-e-be-hijab khabar hai hijab ki
zauq-e-nazar se puchhiye qimat naqab ki
surat bhatak rahi hai nazar mein shabab ki
fursat sawal ki hai na mohlat jawab ki
rijhi hui hai un pe nazar mahtab ki
qismat chamak rahi hai mere intikhab ki
jin ki halawaten hon mayassar shabab ki
un par na kyon haram ho talkhi sharab ki
phir yaad aa gai kisi mast-e-shabab ki
da'wat si mil rahi hai nazar ko sharab ki
baqi rahi na jab koi surat sawab ki
chashm-e-butan ne soch ke bai'at sharab ki
taklif dijiye na labon ko jawab ki
aankhon se aashkar hai marzi janab ki
mitti 'aziz hai dil-e-khana-kharab ki
bedariyon mein so gai ta'bir khwab ki
aamad hai gulsitan mein kisi sabz-gam ki
har shakh par bikher hui hai gulab ki
har dil ki pasdar hai ek jaan-e-dilbari
har najm-o-mah mein hai kiran aaftab ki
har jam-e-tishna-kaam karam ka hai muntazir
ye kis ke hath mein hai surahi sharab ki
mahnga padega shauq tujhe na-murad dil
kyon rag phadak rahi hai tere iztirab ki
hain 'shad' aaj aap kisi bazm-e-ghair mein
ta'rif ho rahi hai suna hai janab ki

56401 viewsghazal • English