har roz rah takti hain mere singhaar ki

har roz rah takti hain mere singhaar ki
ghar mein khili hui hain jo kaliyan anar ki

kal un ke bhi khayal ko main ne jhatak diya
had ho gai hai mere bhi sabr-o-qarar ki

mazi pe guftugu se wo ghabra rahe the aaj
main ne bhi aaj baat wahi bar bar ki

ab pyar ki ada pe bhi jhunjhla rahe hain wo
kahte hain mujh ko fikr hai kuchh karobar ki

aksar to log pahli sada par hi bik gae
boli to go lagi thi bade e'tibar ki

zinda rahi to nam bhi lungi na pyar ka
saugand hai mujhe mere parwardigar ki

sab ka khayal ghar ki sajat ki mahfilen
main ne bhi ab ye aam rawish ikhtiyar ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close