har samt dekhta hun lagatar matlabi

By mannan-qdeer-mannanJune 30, 2021
har samt dekhta hun lagatar matlabi
is par matlabi miyan us par matlabi
khud faeda uthaya hamare junun se aur
kahne lage hain ab hamein sarkar matlabi


koshish ke bawajud jo khulta nahin kabhi
ek jaanta hun aisa pur-asrar matlabi
hai us ki bewafai bhi lazzat bhari janab
hai mera ek dost mazedar matlabi


dar kar rahe the dhoka azizan mere sath
mujh ko ye lag raha tha hai diwar matlabi
hum hi nahin hain rang ke tahzib-ashna
us shokh ke nahin lab-o-rukhsar matlabi


pahchanta hun dekhte hi un ko dosto
milte hain mujh ko din mein kai bar matlabi
'mannan' kar raha hun main ab doston ko kam
har roz chhodta hun main do-chaar matlabi


34982 viewsghazalEnglish