har samt se uthta hai dhuan shahr ke logo ye shahr to tha shahr-e-aman shahr ke logo diwangi-e-ahl-e-khirad pahunchi yahan tak har shakhs ka chehra hai dhuan shahr ke logo rifat kise milti hai farawani-e-zar se kirdar se ho fakhr-e-zaman shahr ke logo le aai yahan tak hamein kirdar ki pasti azmat hai na azmat ke nishan shahr ke logo parwarda-e-iman-o-yaqin hote hue bhi ye waswasa-e-wahm-o-guman shahr ke logo phenko na khamoshi pe meri tanz ke patthar ab bhi hai mere munh mein zaban shahr ke logo patthar ki chatanon se ruka hai na rukega 'inam' hai ek ju-e-rawan shahr ke logo