har shai tujhi ko samne lae to kya karun har shai mein tu hi tu nazar aae to kya karun tham tham ke aankh ashk bahae to kya karun rah rah ke teri yaad satae to kya karun ye to batate jao agar ja rahe ho tum! mujh ko tumhaari yaad satae to kya karun mana sukun-nawaz hai har shai bahaar mein tere baghair chain na aae to kya karun har sher mein suna to gaya hun main haal-e-dil lekin teri samajh mein na aae to kya karun ab ishq se ziyaada gham-e-tark-e-ishq hai ye aag bujh ke aur jalae to kya karun dil ho gaya hai khugar-e-bedad ishq mein un ki wafa bhi ras na aae to kya karun us sharam-gin nazar ka tasawwur agar 'shamim' bijli dil-o-nazar par girae to kya karun