har shaKH-e-gul ko be-sar-o-saman bana diya

By mohammad-ismail-aasi-aarwiNovember 7, 2020
har shakh-e-gul ko be-sar-o-saman bana diya
yaron ne gulsitan ko bayaban bana diya
takhliq sab ki ek hai aamal ne magar
kafir tujhe to mujh ko musalman bana diya


is jaan-e-gulsitan ki tamanna ne ai nadim
mujh ko har ek chaman se gurezan bana diya
dushwar ho chuki thi mujhe zindagi magar
saqi-e-dil-nawaz ne aasan bana diya


'asi' khuda ka shukr karo jis ke lutf ne
auron ke sath tum ko bhi insan bana diya
41324 viewsghazalEnglish