har shaKHs gunah-gar hai malum nahin kyon

By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
har shakhs gunah-gar hai ma'lum nahin kyon
aangan mein bhi diwar hai ma'lum nahin kyon
jis par tha bharosa ki hifazat wo karega
fitrat se hi lachaar hai ma'lum nahin kyon


us se to mujhe koi shikayat hi nahin hai
mujh se hi wo bezar hai ma'lum nahin kyon
karni thi use sach ki himayat hi magar wo
mujrim ka taraf-dar hai ma'lum nahin kyon


bakhshi hai zamin us ne hasin chand sitare
mushkil mein ye sansar hai ma'lum nahin kyon
dil jis ko diya hum ne tha hamraaz samajh kar
wo jaan ka talabgar hai ma'lum nahin kyon


49802 viewsghazalEnglish