har sher ghazal ka kah raha hai tujh ko bhi bichhad ke dukh hua hai hai shola-e-jaan mein yaad teri kya aag mein phul khil raha hai khurshid-e-sahar tulua ho kar shabnam ka mizaj puchhta hai kya us ko bataun hijr ke gham jis par mera haal aaina hai main kis se kahun fasana-e-gham har ek ka dil dukha hua hai kyun aa gai darmiyan duniya ye tera mera moamla hai kya paoge but se faiz 'hafiz' patthar bhi kahin khuda bana hai