har-su hai aaj waqt ke maron ka silsila

By ishrat-jahangirpuriJanuary 3, 2024
har-su hai aaj waqt ke maron ka silsila
allah-re dardnak nazaron ka silsila
pesh-e-nazar hai shokh nigaron ka silsila
rangon ka qafila hai bahaaron ka silsila


badhta gaya fareb-e-tamanna ke faiz se
un ki nigah-e-naz ke maron ka silsila
kaisa karam kiya hai ye fasl-e-bahaar ne
gulshan mein har taraf hai shararon ka silsila


raaton ko teri yaad mein aansu baha kiye
lauta kabhi na chand sitaron ka silsila
kab hai mere junun ko gawara bahaar mein
daman se jeb tak rahe taron ka silsila


dekhen to aap 'mir' se 'ghaalib' ke daur tak
raushan hai kitna sina-figaron ka silsila
is daur mein bhi mast-e-sharab-e-wafa hun main
qaem hai mujh se baada-gusaron ka silsila


gulzar-e-kaenat ki tanzim dekhiye
phulon ke aas-pas hai kharon ka silsila
'ishrat bharosa un ki nigahon pe kya karen
wo bhi hai ek jhute sahaaron ka silsila


11555 viewsghazalEnglish