har taraf be-hisab KHamoshi

By akhtar-hashmiApril 22, 2023
har taraf be-hisab khamoshi
lag rahi hai azab khamoshi
jis ki aadat thi bolte rahna
us pe kyon hai janab khamoshi


hai samaat bhi be-sada apni
aur us ka khitab khamoshi
ab shab-o-roz yun guzarte hain
apna kamra kitab khamoshi


har jagah bolna nahin achchha
har jagah hai kharab khamoshi
ek unwan tha mujhe darkar
kar liya intikhab khamoshi


shorishon ka sabaq liya pahle
ab hai dil ka nisab khamoshi
tum jo chup ho to phir munasib hai
ho mera bhi jawab khamoshi


muztarib tha bahut firaq mein dil
hasil-e-iztirab khamoshi
kitna charcha tha khwab ka 'akhtar'
aur tabir-e-khwab khamoshi


90659 viewsghazalEnglish