har taraf dhup ki chadar ko bichhane wala kaam par nikla hai duniya ko jagane wala apne har jurm ko purkhon ki wirasat kah kar aib ko rit batata hai batane wala aaj ek lash ki surat wo nazar aata hai aatmaon se mulaqat karane wala aql ki aankh se dekha hai tumhaare chhal ko tisri aankh banata hai banane wala apni masum baghawat pe bada hai parasnn kath ki top khilaunon mein sajaane wala tir ki nok pe minakshi rahti hai sada lakshya sadhega kahan tak ye nishane wala nind phir aaegi 'sajid' tumhein be-fikri se kaam koi na karo dil ko dukhane wala