har taraf ghanghor tariki thi rah-e-jism mein
By salim-saleemFebruary 28, 2024
har taraf ghanghor tariki thi rah-e-jism mein
ek diya jalta raha bas bargah-e-jism mein
ruh meri pak thi aur sar-ba-sar aazad thi
main ki aaluda hua phir bhi gunah-e-jism mein
subh hone par sabhi harf-e-du'a gum ho gae
raat-bhar baithe rahe hum bargah-e-jism mein
yar ab tu hi rihai ki koi surat nikal
ghir gaya chaaron taraf se main sipah-e-jism mein

69785 viewsghazal • English