har taraf har jagah be-shumar aadmi phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi subh se sham tak bojh dhota hua apni hi lash ka khud mazar aadmi har taraf bhagte daudte raste har taraf aadmi ka shikar aadmi roz jita hua roz marta hua har nae din naya intizar aadmi ghar ki dahliz se gehun ke khet tak chalta phirta koi karobar aadmi zindagi ka muqaddar safar-dar-safar aakhiri sans tak be-qarar aadmi